jab roz sawera hota hai jab dur andhera hota hai jab duniya ke is gulshan mein phir nur ka phera hota hai ek ek kali khil jati hai aur ek ek chidiya gati hai is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai allah teri yaad aati hai ye duniya rang badalti hai phir ek nai kal chalti hai ye duniya hai maidan-e-amal is kal se tan nikalti hai har zinda hasti is ki sada par kaamon mein lag jati hai is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai allah teri yaad aati hai kheton par dahqan jate hain kheti mein jaan khapate hain din-bhar ki sakhti sah sah kar aaram ki rahat pate hain jab aas hari kheti ki un ko mehnat par uksati hai is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai allah teri yaad aati hai hum nek irade karte hain susti bekari se darte hain har roz sada aage hi badhen aise jine par marte hain jab neki nur ka partaw ban kar chehron ko chamkati hai is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai allah teri yaad aati hai jab hum sab padhne aate hain aapas mein ghul-mil jate hain jab sab ke sab khush ho ho kar 'nayyar' ka naghma gate hain jab aapas ki ye jot sabhi ke sinon ko garmati hai is aise suhane manzar mein allah teri yaad aati hai allah teri yaad aati hai allah teri yaad aati hai