ratjagon ka zawal

wo andheri raat ki chap thi
jo guzar gai

kabhi khidkiyon pe na jhuk saki
kisi raste mein na ruk saki

use jaane kis ki talash thi
meri aankh os se tar rahi hai

mujhe khwab banne ki lat rahi
kabhi ek suni si rahguzar pe khada tha main

kabhi dur rail ki ptriyon pe pada tha main
wo kisi ke jism ki chap thi

jo guzar gai
use jaane kis ki talash thi

mere dil ke dasht ki ret hi mein khili thi wo
mujhe ek gali mein mili thi wo

use mujh se shauq-e-visal tha
mere khwab mujh se khafa hue

mujhe nind aai main so gaya
yahi ratjagon ka zawal tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close