raushni hai wo wo dhup hai khilti hui jalti hui ek lohe apni raushni se khud rah mein ujala karti aandhiyon se andheron se use khauf nahin kanpti lau ko tharthara ke sambhalne ka hunar aata hai is lau ne har samt mashal ban kar dikhaya hai apna jauhar kitne kamal kar ke dekhna ek din ye bad-guman duniya manegi us ki ahmiyat salam kar ke use