khol aankh zamin dekh falak dekh faza dekh! mashriq se ubharte hue suraj ko zara dekh! is jalwa-e-be-parda ko parda mein chhupa dekh! ayyam-e-judai ke sitam dekh jafa dekh! betab na ho marka-e-bim-o-raja dekh! hain tere tasarruf mein ye baadal ye ghataen ye gumbad-e-aflak ye khamosh fazaen ye koh ye sahra ye samundar ye hawaen thin pesh-e-nazar kal to farishton ki adaen aaina-e-ayyam mein aaj apni ada dekh! samjhega zamana teri aankhon ke ishaare! dekhenge tujhe dur se gardun ke sitare! napaid tere bahr-e-takhayyul ke kinare pahunchenge falak tak teri aahon ke sharare tamir-e-khudi kar asar-e-ah-e-rasa dekh khurshid-e-jahan-tab ki zau tere sharar mein aabaad hai ek taza jahan tere hunar mein jachte nahin bakhshe hue firdaus nazar mein jannat teri pinhan hai tere khun-e-jigar mein ai paikar-e-gul koshish-e-paiham ki jaza dekh! nalanda tere ud ka har tar azal se tu jins-e-mohabbat ka kharidar azal se tu pir-e-sanam-khana-e-asrar azal se mehnat-kash o khun-rez o kam-azar azal se hai rakib-e-taqdir-e-jahan teri raza dekh! the spirit of the earth welcomes adam