mast hawa jab sawan ki angdai le kar aati hai aur falak par kali kali badli jab chha jati hai chham-chham chham-chham nannhi bunden ithla kar jab aati hain prem ki halki tanon mein rawi ki lahren gati hain bhige bhige sawan mein jab koyal kuk sunati hai pael ki jhankaron ki jab dhimi aahat aati hai us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai pichhle pahar jab dhimi dhimi thandi hawaen aati hain ganw ki sundar aankhon wali pani bharne jati hain prem ke mandir mein ganga-jal koi chadhane jati hai dewi ke charnon mein koi mithe bol sunati hai rawi ki lahron mein chhup kar murli koi bajata hai jangal ki khamosh faza mein amrit-ras barsata hai us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai sabza phul patawar ghunche aur naghme so jate hain dharti par aakash se jab masum farishte aate hain sham hui mandir mein dekho ghante log bajate hain raat hui bailon ko le kar harwahe ab jate hain halki halki bundon mein jab duniya sawan gati hai hari-bhari shakhon mein chhup kar koyal kuk sunati hai kuchh din ke bichhde hue sathi hans ke gale jab milte hain chandni raaton mein ghunche jab chatak chatak kar khilte hain us waqt kinare rawi ke ek dilkash manzar hota hai