mere aangan mein bikhre zard patte mujhe hamraaz lagte hain ye jab halki hawa ki sarsarahat se larazte hain to yun lagta hai jaise un pe koi bhed sa khulne laga hai jaise un ko bawar ho gaya hai ki khud shakhon ne be-parwai se daman chhudaya hai zamin ne bhi nigahen pher li hain unhen malum hai shayad zamin pairon tale hi jab na ho to jitna marzi sar patakh len tahniyon ko tham len be-faeda hai ab unhen be-asra rahna padega kabhi pairon mein aa kar charmarana hawa ke dosh par udte bikharte hi chale jaana padega wajud apna kisi gumnam goshe mein chhupa kar raigani ki aziyyat un ko sahte hi chale jaana padega khayal aata hai kitni be-nishan be-mol be-waqat si un ki zindagi hai magar ye be-nishani jin khalaon ko janam deti hai unhen bharne ko jiwan konpalon se aakhir ek din phutta hai yahi ek soch mujh ko apne aangan mein bikharte charmaraate zard patton se bahut manus rakhti hai bahut nazdik rakhti hai