guzre hue waqton se nikal kar dekha aaj ka daur alahida to nahin hai wo hi aawaz ke sae wo hi be-sharm sarab aaj bhi maujud hain kal jaise kharab chehre zara badle hain nai baat nahin hai mana bite hue kal se nadamat hai mujhe aisa kuchh bhi to nahin jis se aqidat hai mujhe mazi wale kuchh bhi ho jine ka bahana hai mere ek khwab mohabbat ka suhana hai mere ab wo hi chhod ke jina hai to jina kya hai han zara dard bhi ho leta hai gahe-gahe aur jaan pe ban aati hai tab jab chahe ye bhi lagta hai ke raste band hain sab aur jine ki saja aakhir kab tak par mere dost ye haal to mazi se bhi bad-tar hai is mein nafrat ke ubaale hain bahut is mein aahen fughan-o-nale hain bahut jine ke liye marne ki zarurat hai bahut tha to ye pahle bhi magar itna nahin tha kuchh ka tha tuta hua har ek ka sapna nahin tha mujh ko mere mazi mein fana rahne do meri ulfat mere jine ka bahana hai bahut