main apne andar kisi khala mein bhatak rahi thi udhad rahi thi magar wahan sirf ek badan tha jo nakhunon se wajud se ruh chhilta tha udhadti sanson pe dant apne chubho raha tha main dard-e-zeh se bhi surkh-ru ho ke aane wali main aashna-e-aziyyat-e-takhliq ek tamaskhur se ek tazhik ke guman se khud apni aahat ki siskiyon par laraz rahi thi darindagan-e-wajud lekin tamam rishton ki galiyon mein khud apni tamir ke dhoen se yaqin ki chadar chaba rahe the wo dard-lamha kharash ho kar guzar raha tha wahan faqat zabt moajiza tha khuda kahin pas hi khada tha use kahan dard ka pata tha mein apne andar kisi khala mein bhatak rahi thi udhad rahi thi