damakte chehre ghaneri zulfen ye sarsaraate hawaon jaise libas jismon ka bankpan dilruba adaen ye jhilmilate makan rangin shahr chamkili caren ye sab manazir jo rahaton ke sarab dikhla ke khwahishon ke latif paikar tarash kar khwab bechte hain bahut hasin hain ye kya hua bas palak jhapakte hi sare manzar badal gae hain ye khun mein dube hue manazir kahan se aae ye man kahan ki hai kaun hai apne bete ki lash par sar patak rahi hai naya dhamaka kahan hua hai ye kaun hain kya shahid hain jin ke jismon se bam bandhe hain jo in dhamakon mein jaan-ba-haq saikdon hue hain shahid wo hain ye kaun sa shahr kya jagah hai jahan pe sailab ne phir se qahr dhaya ye zalzala phir kahan pe aaya fasad phir ho gaya kahin par ye kya jagah hai ye kaun masum bachchiyon ke burida jismon ko dhundhta hai ye barbariyat ke sansani-khez manzar bahut hi tafsil se chal rahe hain kahan kahan se talash kar ke dikha rahe hain mujhe pata hai ye aalami ganw ka hai manzar are khuda ke liye badal do remote lao batan dabao ye thik hai han ye hi laga lo saji bani auraton ke qisse jo apne jannat-numa makanon mein jal sazish ke bun rahi hain ye bewafai ke ranjishon ke jo silsile hain chalo phir in mein hi sar khapaen ye bhul jaen ki sari duniya mein wahshaton ka hai raqs jari