hai imtihan sar par khada mehnat karo mehnat karo bandho kamar baithe ho kya mehnat karo mehnat karo be-shak padhai hai sawa aur waqt hai thoda raha hai aisi mushkil baat kya mehnat karo mehnat karo shikwe shikayat jo ki the tum ne kahe hum ne sune jo kuchh hua achchha hua mehnat karo mehnat karo mehnat karo inam lo inam par ikram lo jo chahoge mil jaega mehnat karo mehnat karo jo baith jaen haar kar kah do unhen lalkar kar himmat ka kuda mar kar mehnat karo mehnat karo tadbiren sari kar chuke baaton ke dariya bah chuke bak bak se ab kya faeda mehnat karo mehnat karo ye bij agar daloge tum dil se use pa loge tum dekhoge phir is ka maza mehnat karo mehnat karo mehnat jo ki ji tod kar har shauq se munh mod kar kar doge dam mein faisla mehnat karo mehnat karo kheti ho ya saudagari ho bhik ho ya chaakari sab ka sabaq yaksan suna mehnat karo mehnat karo jis din bade tum ho gae duniya ke dhandon mein phanse padhne ki phir fursat kuja mehnat karo mehnat karo bachpan raha kis ka bhala anjam ko socho zara ye to kaho khaoge kya mehnat karo mehnat karo