hum ek chae ki mez pe aa kar ishq ka qissa le baithe the har khatun badi komal thi mard nihayat dil wale the mo'tabaran-e-shahr mein ek ne us ko flatuni thahraya un ki sharik-e-hayat ne us par tanz se ji-achchha! farmaya padriyon mein ek ye bole ishq gharelu ho na to is se nazm-e-shikam barham hota hai ek ladki ne puchha kaise? ek khatun ne ye farmaya ishq mein hai talwar ki tezi aur is dauran mein uth kar chae ki pyali shauhar ko di ek gosha bilkul khali tha tum bhi jo aatin hum mil rahte ishq ka matlab sab pa jate go hum munh se kuchh bhi na kahte