zamane mein koi burai nahin hai faqat ek tasalsul ka jhula rawan hai ye main kah raha hun main koi burai nahin hun zamana nahin hun tasalsul ka jhula nahin hun mujhe kya khabar kya burai mein hai kya zamane mein hai aur phir main to ye bhi kahunga ki jo shai akeli rahe us ki manzil fana hi fana hai burai bhalai zamana tasalsul ye baaten baqa ke gharane se aai hui hain mujhe to kisi bhi gharane se koi talluq nahin hai main hun ek aur main akela hun ek ajnabi hun ye basti ye jangal ye bahte hue raste aur dariya ye parbat achanak nigahon mein aati hui koi unchi imarat ye ujde hue maqbare aur marg-e-musalsal ki surat mujawir ye hanste hue nanhe bachche ye gadi se takra ke marta hua ek andha musafir hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal ye kya hain yahi to zamana hai ye ek tasalsul ka jhula rawan hai ye main kah raha hun ye basti ye jangal ye raste ye dariya ye parbat imarat mujawir musafir hawaen nabaatat aur aasman par udhar se udhar aate jate hue chand baadal ye sab kuchh ye har shai mere hi gharane se aai hui hai zamana hun main mere hi dam se an-mit tasalsul ka jhula rawan hai magar mujh mein koi burai nahin hai ye kaise kahun main ki mujh mein fana aur baqa donon aa kar mile hain