ret par soya hua hai aadmi us mein sire se koi jumbish hi nahin mujhe haul hota hai main us ke pas jata hun wahan ret ka ek dher hota hai main us dher ko hath se chhuta hun mere panje ka nishan ret par ban jata hai phir ye nishan pani se nikli hui machhli ki tarah tadapne lagta hai aur kuchh der baad sakit ho jata hai mere hath se chipki ret jab mere sath sath chalti rahi hai main ne use kai bar hath se jhadna chaha bar bar hath ko pani se dhoya bhi lekin ret hath se chhutti hi nahin rah chalte hue main apna hath jeb main chhupa kar chalta hun lekin musafah karne ke liye to hath jeb se nikalna hi padta hai mujh se musafh karne ke baad koi aadmi pahle jaisa nahin rahta kuchh dur ja kar wo apne hath se lagi ret ko jhadne ki koshish karta hai aur ret ke dher mein tabdil ho jata hai har gali aur mohalle mein har ghar ki dahliz par aap ko ret ke ye dher dikhai denge un par meri ungliyon ke nishan bhi milenge khud meri pith par bhi aisa hi ek nishan hai ek din ye sare dher yakja kar diye jaenge ek bada sa dher bana diya jaega ye sara kaam ek shakhs tan-e-tanha karega phir wo dher par bane us nishan ko utha kar apni jeb mein rakh lega