asir logo utho aur uth kar pahad kato pahad murda riwayaton ke pahad andhi aqidaton ke pahad zalim adawaton ke hamare jismon ke qaid-khanon mein saikdon be-qarar jism aur udas ruhen sisak rahi hain wo zina zina bhatak rahi hain hum in ko aazad kab karenge hamara hona hamari in aane wali naslon ke waste hai hum in ke maqruz hain jo hum se wajud lenge numud lenge kate hue ek sar se lakhon saron ki takhliq ab kahani nahin rahi hai lahu mein jo shai dhadak rahi hai gamak rahi hai hazaron aankhen badan ke khaliyon se jhankti be-qarar aankhen ye kah rahi hain asir logon jo zard patthar ke ghar mein yun be-hisi ki chadar lapet kar so rahe hain un ko kaho ki uth kar pahad katen hamein rihai ki sochna hai