sukut khulne laga hai tanhai chahchahati hai baam-o-dar par main apne aabai ghar ki pichhli shikasta sidhi pe sar jhukae guzishta sadiyon ko gin rahi hun safed aur surkh pattharon ka makan ab mom ban ke mujh par tapak raha hai pighal raha hai sabhi diye bujh chuke hain yan taq-e-arzu ke kitab-e-rafta ke kuchh waraq bas khule hue hain ki jin ka mujh ko amin banaya safir-e-shab ne kuchh is tarah gardish-e-mah-o-sal ki nami se ye gal rahe hain ki in mein ek harf bhi salamat nahin milega tamam aadarsh jal rahe hain aur in ke shoalon ki raushni mein ajib manzar ubhar raha hai ye sard dalan is se aage ghulam-gardish ye laq-o-daq sahn dewdhiyan aur bada ahata mere jilau mein ye kaisi parchhaiyan si har samt raqs karti guzar rahi hain ye mere aaba ke zar-kharid aur ghulam hain sab hazaron ruhen ba-yak zaban chikhti hon jaise ghulam gardish mein ghungruon ki ye kaisi chham-chham baras rahi hai ye kaun sazon pe hath rakkhe lahu ke aansu hasin poron se ro raha hai ki jin ki aawaz das rahi hai aur us ke pichhe wo dur khalwat mein ruh kis ki taras rahi hai yahi wo aurat hai jis ki aankhon ko chumne ki sitare hasrat karen to roen ye shab ke parde mein apne khalwat-kade mein kis ko bula rahi hai ye kis ko aansu dikha rahi hai bade ahate ke is kunen mein ye nazninon ki kaisi chikhen hain jo muqayyad hain tin naslon se aur ruhen phadak rahi hain ye kaun dewdhi mein khansta hai ye kaun bhuka nahif bachcha anaj ki kothiyon ke aage abhi abhi ro ke so gaya hai ye sar ko niyodhae kaun ladki udhar andhere mein ro rahi hai ye ek goshe mein kaun budha lahu mein tar aastin chhupae tamam ruhon se munh churae kaman ki surat jhuka hua hai laraz raha hai ki mere aaba ki sabz mitti ka shakhsana pas-e-daricha khula hua hai ajab tamasha laga hua hai yahi makan hain haweliyan hain ata-o-jud-o-sakha ke markaz tashaddud-o-jabr ke idare ab in mein raqsan hain zar-kharid aur ghulam sare