hum jaante hain ye duniya hamein jine nahin degi fasle ki diwaren hum donon ke darmiyan badhti rahengi ye kaisa rishta hai hum donon apne apne ehsasat se waqif hain magar ye rasm-o-riwaj aadmi se aadmi ki tafriq ke hum donon mahz apni aankhon ke alawa ek dusre ko chhu nahin sakte aab-e-zam-zam ya ganga-jal ek rang, ek khumar aur ek ehsas kyun na hum donon ek aafaqi rishte se munsalik ho jaen aise rishte se ki jahan talwaren jhuk jati hain aur angare ban jate hain phul aur nila aasman muskura uthta hai aao aaj tum meri kalai mein ye rakhi bandh do hum donon apni apni anokhi chahat ke hawale se ban jaen janm janm ke sathi atut ho jaenge jab phir shayad zamana ungli nahin utha sakega!!