mere din sairab hue hain ninden ghor samundar jaisi meri aankh se lipti hain subh ki saat aazadon ka git bani hai sath chali hai sayyahon ke raste par main ek sawar sada ke rath par baith ke jaun suraj-mukhi ke jalse mein baat karun tyauhaaron ki jo mere wasl ke darwazon tak aa pahunche hain meri umr ke khaliyanon mein jin ki faslen nae nisab se utri hain baat karun us nisbat ki jo phul utarte mausam ki poshak mein aai tere dil mein mere dil mein kaise apni bhasha se main shahad banaun kaise dudh kashid karun un baaton se jo sab ki jaani-bujhi hain mere din sairab hue hain jaise suraj aur kabutar ud jate hain apne apne darbon se jaise pani bah jata hai dariyaon ke aangan se aise hi mere din kya malum? kahan tak jaen kin rishton mein jagna chahen