ek taraf barson purana khun ka qarz hai wahin dusri aur ek mazlum aurat ka rasta dard hai wo aurat meri man ho sakti hai ya padosan ya koi dur watan ki ajnabi par khun ke rishte se bada ye dard hai mere liye kyun ki har pal kuchh rista hai us rishte ke liye sari zindagi carpet bani rahi ye aurat aaj bhi zimmadariyon ke bojh se ziyaada kuchh nahin tumhaare liye par bhul rahe ho tum bhi isi carpet par dhar diye jaoge kisi din upekchhit potli ki tarah tab ke liye rista rahega ye dard