puchh na kya lahore mein dekha hum ne miyan-'nazir' pahnen suit angrezi bolen aur kahlaen 'mir' chaudhariyon ki mutthi mein hai shair ki taqdir roe bhagat kabir ik-duje ko jahil samjhen nat-khat buddhiwan metro mein jo chae pilae bas wo bap saman sab se achchha shair wo hai jis ka yar mudir roe bhagat kabir sadkon par bhuke phirte hain shair mausiqar actorson ke bap liye phirte hain motor-kar film-nagar tak aa pahunche hain sayyad pir faqir roe bhagat kabir lal-din ki kothi dekhi rang bhi jis ka lal shahr mein rah kar khub udae dahqanon ka mal aur kahe ajdad ne bakhshi mujh ko ye jagir roe bhagat kabir jis ko dekho leader hai aur se milo wakil kisi tarah bharta hi nahin hai pet hai un ka jhil majburan sunna padti hai un sab ki taqdir roe bhagat kabir mahfil se jo uth kar jae kahlae wo bor apni masjid ki tarifen baqi jute-chor apna jhang bhala hai pyare jahan hamari hir roe bhagat kabir