azal bhula-bisra sa ek khwab hi sahi band ek bab hi wo sada ke liye magar barha harf-e-haq lauh-e-jaan se mitaya gaya jab ba-anwaa-e-jabr azal hi wo misra uthana abad tak jise na-guzir dhamake se pahle ki ek sansani bani imtihan-gah mein khauf-o-dahshat ke ham-dosh ek zimmedari ka bar yahan hum na hote jo ummid-war to hote koi aur apne hi wo ham-nazhad zamin aasman fakhr se aur ghubar-e-pas-o-pesh hum dekhte in ko kis rashk se sawalat pechaak se irtiqa ke jude be-shumar wo hal kar rahe hain fatanat mein shamil diyanat ke sath sitaron ki taqdim ko kis ne dekha hai lazzat-kash intizar jaride mein sabt apne nam jahan dekh paenge sath-e-wajud wo hai dur kitni jahan ja ke aalam tamam tera mai-kada saqiya abhi aab-o-gil mein gundhi aur abhi parda-e-ghaib se jhankti yaad-dasht bahut us ne dekhe tulu-o-ghurub bahut pesha-war sach ka phaila hua karobar jaraem ki jin ke tanawar tane ye fanni mahaarat ki ek bartari aur wo power sipar mukafat ki un ke sar par jo rut aa gai sutun-dar-sutun tha dhuan ug raha un ke thaalon ke beach natije ki fihrist se nam kitne ki bajta tha danka kabhi jin ka ho kar rahe lapata na koi dhamaka na koi jhamaka na duniya dulhan pakad kar jakad kar jalai gai qalam ke nawishte se panpa hua khwab-zar wahin tak hai sarsabz khoya qalam ne jahan tak nahin e'tibar magar pasban-e-mafadat said qalam ne jahan likh diya urf sayyaad ka wahin shakh-e-zaitun gul-dan aaraishi ka asasa bani qalam ko bacha harf-e-haq ki saza bhugatne ki khatir sada saqiya salamat sabucha tera