roz is aas pe

roz is aas pe darwaza khula rakhta hun
shayad aa jae wo chupke se kabhi us jaanib

wo jo duniya se bahut duri par
aag ke khauf se

sahme hue ek lamhe mein
chhup ke bachche ki tarah baitha hai

muntazir hun ki koi us ko sahaara de de
jise wo tham ke

zulmat ka safar tai kar le
aur mil jae wo mujh se ki mere chehre par

meri aankhon ne saja rakkha hai ummid ka bab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close