raat ki rah se hat kar kisi gham-khane se chand chupke se nikal aaya tha kitni kaliyan thin jo zehnon mein mahakti dekhin barf ke ek pighalte hue sannate mein kitni sadiyan thin jo khamosh guzarte dekhin apni hi aag mein jalte hue pedon par agar us ghadi baur jo utra to janam hoga zarur aisi nazmon ka jo mahkar mein dubi hongi