roza rakha to jaana

darwaza ghar ka khadka
bahar khada tha ladka

kahta tha main hun bhuka
mujh ko khilao khana

hoti hai bhuk kya shai
roza rakha to jaana

mazdur ek aaya
garmi ka tha sataya

bola hun sakht pyasa
pani zara pilana

hoti hai pyas kya shai
roza rakha to jaana

sharbat pakaude chhole
phal chat aur samose

kya kya khilaya rab ne
us ko na bhul jaana

neamat hai us ki har shai
roza rakha to jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close