raat tak jism ko uryan rakhna chand nikla to ye sahra ki sulagti hui ret sard ho jaegi barsat ki shamon ki tarah barf ho jaega jism phir khunuk-tab hawa aaegi teri peshani ko chhu jaegi aur pasine ki ye nannhi bunden ho ke tahlil fazaon mein bikhar jaengi ret ke tilon se takraengi ret ke tile hawaon ki nami chatenge ret ke tilon ki tishna-dahani aur bhadak utthegi jab hawa dasht se aage nikli patte patte ko jhulas jaegi par jahan tu hai wahan sard ho jaega zarra zarra barf ho jaega jism magar ek ruh ki aag jis ko barsat ki shamon ne hawa di barson chand ki zard shuaon se bhadak utthegi