asia ki is viran pahadi par maut ek khana-ba-dosh ladki ki tarah ghum rahi hai meri raushni aur anar ke darakhton mein qazzaqon ke chaqu chamakte hain aur sar par wo chand hai jo is pahadi ka pahla paighambar hai is pahadi par fatima rahti hai us ke kapdon mein wo kabutar hain jo kabhi ud nahin sakte khuda ne hamein ek ghaar mein band kar diya hai aur hamare saron par siyah raat jaisa patthar rakh diya hai