meri gudiya teri rukhsat ka din bhi aa gaya aakhir simat aaya hai aankhon mein tera bita hua bachpan abhi kal ki hi baaten hain to ek nannhi si gudiya thi abhi kal hi to baba se badi zid kar ke mange the gulabi rang ke kapde wo jute titliyon wale abhi kal hi to laya tha main pahli bar ek chudi jise jab tum ne pahna to kalai se badi nikli phisal kar hath se tere tujhe ghussa dilati thi abhi kal hi to baba ko pakadne bhejti thin tum kabhi udti hui chidiya kabhi tare kabhi chanda aur ab aisa hai ki waqt-e-judai sar pe aaya hai teri baraat le kar aa gaya hai tera shahzada ba-zahir khush khada hun main magar tuta hai dil mera baji hai jab se shahnai tad uttha hai dil mera mere aangan mein thahrengi teri yaaden teri baaten chali jaegi tere sath hi raunaq mere ghar ki ye mere sath chhup chhup kar hazaron bar roenge teri rukhsat pe ai beti dar-o-diwar roenge