mausam bahen khol raha hai gadrai hai sham basanti din chupke se dekh raha hai lamhon ka ek thaal sunahra dil ne kaise tham rakha hai aanchal mein hai ek sitara jhilmil jhilmil bol raha hai dhak dhak dhak dhak ek hi boli dil ka pinjra khol rahi hai bechaini ka raqs anokha ek ek sar ki tal ajab hai khushbu ki bhi aanch ghazab hai sara aangan dahak raha hai nazm sab kuchh nahin likh sakti sar nehwdae chabaati rahti hai nakhun kharonchti rahti hai dil bhigi hui hatheli se masal deti hai sare manzar hawa khak bhar deti hai nazm ki aankhon mein patthar ki sil kuchal deti hai nazm ki poren aur nazm katbe nahin likh sakti