sari be-manawiyyat saat-e-aghaz mein thi jab hawa garm hui saebani ke liye dhup mein ek patthar tha safar aaghaz kiya raat aasab-shikan lai thi bistar pe use wo bhi diwar bana jis pe giri thi diwar koi dam baith liye phir safar aaghaz kiya dil ne chaha tha ki ro len magar ab kya rona daud ki aakhiri had par bhi koi rota hai han magar wo jo abhi saat-e-aghaz mein hai daud ki aakhiri had jis ke liye raaz mein hai