ek bahut ajib aur gahri sham mein main ne zakhmi parinde ko diwar ki munder par sustate hue dekha us ki aankhen nikli pad rahi thin aur zaban bahar nikal aai thi main ne is se pahle bhi aisa manzar kahin dekha tha meri yaad-dasht bahut kharab hai mujhe kuchh yaad nahin rahta han nae manzaron se milta julta koi purana manzar mujhe yaad aata hai aise hi kisi manzar mein us parinde ki haalat se milti-julti ek ladki ki taswir main ne kaghaz par banana chahi lekin parinda ud gaya aur ladki barahna ho gai