sab din ek jaise nahin hote kal ka din to aisa nahin tha jaisa aaj ka hai har din apni apni gupha mein chhupa jab sawere sawere hum se samna karta hai to kahta hai aaj ka din guzaro to jaanen aur hum kamar-basta ho jate hain aaj ke din ke guzarne ko wo din hum guzar lete hain aur hum is guzre hue din ko pichhe palat kar dekhte hain suraj ke sath dubte andhere mein munh chhupate bahut thonk kar aaya tha khud ko jaise hamein ye din guzarne na dega aur gidgidaenge hum us ke samne aur apni gardan jo hum hamesha akdi rakhte hain us ke samne jhuka denge aur apni aankhen phati phati kar ke us ke samne iltija karenge ki aaj ka din waisa hi guzre jaisa ek din guzara tha jaise hum kabhi nahin bhulte bhale se sare din aise waise guzarte rahen hum nahin jhukaenge apni gardan aur laga denge is mein hamesha ke liye cluff jo us ke samne hamein jhukne nahin dega bhale wo din kitna hi bura guzre