na zahr-e-khand labon par, na aankh mein aansu na zakhm-ha-e-darun ko hai justuju-e-maal na tirgi ka talatum, na sail-e-rang-o-nur na khar-zar-e-tamanna mein gumrahi ka khayal na aatish-e-gul-e-lala ka dagh sine mein na shorish-e-gham-e-pinhan na aarzu-e-visal na ishtiyaq, na hairat, na iztirab, na sog sukut-e-sham mein khoi hui kahani ka tawil raat ki tanhaiyan nahin be-rang abhi hua nahin shayad lahu jawani ka hayat o maut ki had mein hain walwale chup-chap guzar rahe hain dabe panw qafile chup-chap