abr ke tukde nat-khat ladkon jaise ghum rahe hain pani ki bauchhaaren kha kar paude jhum rahe hain barkha-rani badi siyani baadal baadal dole pi-hu pi-hu pankh pasare ban mein koyal bole dhire dhire meindak apna saz bajate nikle bhigi bhigi shant faza mein shor machate nikle meindak rag suna to jhengur daude daude aaen rang-manch par aane se wo pichhe kyon rah jaen har naghme ki lai par jhume pedon ki hariyali pawan suhane git sunae mahke dali dali dali dali sundar komal phulon ki mahkar rasta rasta gunje jaise taza git bahaar jab dharti par barkha-rani chham chham karti aae yun lagta hai sari dharti nikhri nikhri jae jhar-jhar karta jharna bole sab ki pyas bujhao ramte jogi bahta pani 'nashtar' ji ban jao