dard harf chunne lage

us ki mardangi ko
mere aansuon ki hajat thi

wo meri ruh ko
is waqt tak daghta raha

jab tak us ki poron mein
mard hone ka ehsas nahin itraya

us ke mitti wajud ko
main ne khaare pani se gundh kar

be-hisi ki bhatti mein dal diya
wo patthar ka ho gaya

main bain karne lagi
hosh aaya to

usi but ke aage
bachi-khuchi tamannaen bhent kin

aur sajda-rez ho gai
tapasya amar hui to

dard harf chunne lage
aur main nazmen gungunane lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close