sabaq

kahin kahin pe hari si shakhen
hain apne ghunchon pe muskuraati

kahin kahin pe hain sukhe patte
udasiyon ke sabaq sunate

kahin kahin pe gulon pe bhaunre
mohabbaton ki kahani likhte

kahin kahin pe gulab ishq ke
kitab-e-dil mein hain sukhe milte

kahin pe dariya kahin pe sahra
kahin bahaaren kahin khizaen

kahin tamasha kahin khamoshi
kahin pe faslon ka lahlahana

kahin pe banjar zamin thikana
kahin pe barish qahr si barse

kahin zamin ek qatre ko tarse
kahin fazaon mein shokhiyan si

kahin pe bikhri udasiyan si
kisi ki aankhon mein mast jugnu

nai ibarat ke lafz likhte
kisi ki palkon pe khwab tute

ajab udasi mein dube dube
ajab se manzar ajab se qisse

hawale mujh ko dikha rahe hain
kahani koi suna rahe hain

sabaq ye mujh ko padha rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close