sabhi kuchh waise ka waisa hai kahin kuchh bhi nahin badla dur se aawaz detin mehraben dhwajaen nukile aur gol gumbad ghutarghun karte kabutar tutte bikharte qile ki munhadim burjiyon pe ugi jali ghas barsati nale ki naf se nikalti pagdandi par kothaar gadoliya lohaar ghana chhitnar ped pipal ka unghti alsai sadak makan ki pahli manzil ki zang-khurda salakh se munqasim khwab-gun khidki tutti girti sham ki raushni mein sayyal shararon ki tedhi medhi lakiron ko dekhti chup-chap suraj ki pahli kiran gadmad lakiron ko sikhati