khud hi apni sakhi saheli din bhar ki sab chhoti se bhi chhoti baaten dur kisi gunjaan sadak pe chalte chalte jab panw ek patthar se takraya tha to kaise main chhui-mui si bich sadak us sham giri thi meri chadar tez hawa se dur talak udti hi gai thi nausar-baz hawa se kaise dhoka khaya achchhi buri nazren duniya ki apni haar aur apni jit apna sab kuchh khud se kahna khud hi baith ke rote rahna khud ko aap dilasa dena apni aankh ke sare aansu khud hi pina khud hi marna khud hi jina apne dukh-sukh khud se kahna khud hi hansna khud hi rona rote rote be-khud hona