hasab-nasab hai na tarikh o ja-e-paidaish kahan se aaya tha mazhab na waldiyat malum maqami chhote se khairaati aspatal mein wo kahin se laya gaya tha wahan ye hai marqum mariz raaton ko chillata hai mire andar asir zakhmi parinda hai ik, nikalo ise gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai khaif hai sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise mariz chikhta hai dard se karahta hai ye wietnam, kabhi dominican, kabhi kashmir zar-e-kasir, siyah qaumen, kham madniyat kasif tel ke chashme, awam, istehsal zamin ki maut bahaim, fizai jang, sitam ijara-dari, subuk gam, dilruba, atfal sarod-o-naghma, adab, sher, amn, barbaadi janaza ishq ka, daf ki sadaen, murda khayal taraqqi, ilm ke gahware, ruh ka madfan khuda ka qatl, ayan zer-e-naf zohra jamal tamam raat ye be-rabt baaten karta hai mariz sakht pareshani ka sabab hai yahan gharaz ki jo tha shikayat ka ek daftar tha natija ye hai usi roz muntaqil karke use ek aur shifa-khane ko rawana kiya suna gaya hai wahan nafsiyat ke mahir tabib haziq o nabbaz doctor kitne talab kiye gae aur sab ne ittifaq kiya ye koi zehni maraz hai, mariz ne shayad kabhi parinda koi pala hoga lekin wo adam-e-tawajjohi ya ittifaq se yunhi bichaara mar gaya us maut ka asar hai ye ajib chiz hai taht-e-shuur insan ka ye aur kuchh nahin ehsas-e-jurm hai jis ne dil o dimagh pe qabza kiya hai is darja mariz qatil o mujrim samajhta hai khud ko! kisi ki rae thi pasmanda qaum ka ek fard mariz hoga isi waste siyah qaumen gharib ke liye ek taboo ban gain afsos koi ye kahta tha ye asal mein hai hubb-e-watan mariz chahta tha hum kafil hon apne kisi bhi qaum ke aage na hath phailaen yahin pe tel ke chashme hain, wo karen daryaft! guman kuchh ko tha ye shakhs koi shaer hai jo chahta tha jahan-gardi mein guzare waqt hasin aurten mail hon lutf-o-aish rahe qalam ke zor se shohrat mile zamane mein zar-e-kasir bhi hath aae is bahane se magar gharib ki sab koshishen gain nakaam shikast-e-paiham o ehsas-e-na-rasai ne ye haal kar diya majruh hogae aasab gharaz ki nukta-rassi mein guzar gaya sab waqt wo chikhta hi raha dard ki dawa na mili nashist baad nashist aur muaene shab o roz inhin mein waqt guzarta gaya shifa na mili phir ek sham wahan surma-dar-gulu aai jo us ke waste goya tabib-e-haziq thi kisi ne phir na suni dard se bhari aawaz karahta tha jo khamosh ho gaya wo saz baras guzar gae is waqie ko, mazi ki andheri god ne kab ka chhipa liya us ko magar suna hai shifa-khane ke dar-o-diwar wo gird-o-pesh jahan se kabhi wo guzra tha kharabe bastiyan jangal, ujad rah-guzar usi ki chikh ko dohrae ja rahe hain abhi koi mudawa karo zalimo mere andar asir zakhmi parinda hai ek nikalo ise gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai khaif hai sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise