azal se us ki saltanat ko koi manta nahin jo dil mein aa ke jhank le to jaise jaanta nahin par ab to man jhut ki nafi na kar nafi na kar ki jhut hai sach ki sari saltanat ka wasta nafi na kar ki jhut hai nutq par khitab mein aab-o-khak-o-baad mein muamle mukalme takallufat-o-hadse main dost yar mehrban khet khet rengta hai jhut bahte aab mein sinchta hai nur jhut shahr ke makan mein bhagta hai tez tez jhut tez kar mein jhut kale harf ki buland bang surkhiyan jhut ahd-e-kuhna ki dabiz lan-taraniyan jhut is liye ki sach ka dur tak pata nahin ye tera sirf wahm hai main sach se bad-guman nahin har ek naqib sach ka lahke jhut ke alaw mein guman ko khisht kar ke sach ki niw dalta raha hai jhut ki nafi na kar ki sach ki dudhiya lakir dur jhilmila sake