hawa udae resham baadal ke parde chhan chhan kar pedon se utren raushaniyan jaise achanak bachchon ko aa jae hansi jangal tira-bakht nahin chhan chhan kar chhitnar se barso raushniyo paudon ki rag rag mein tairo raushniyo jangal ke sine ke konon-khudron mein dabe hue asrar bahut khwab-gazida nashe mein sarshaar bahut nind nagar ko tajne pur israr bahut konpal konpal phutne pe tayyar bahut budhe ped na rasta roko un khwabon ko ji lene do chhan chhan kar chhitnar se barso raushniyo is masum hansi mein garche rabt nahin pal-bhar mein aansu bin jaen zabt nahin is moti ke qalb mein utro raushniyo aur chamak us ki chamkao raushniyo nagar nagar mein tum sa nazuk lams na paun kiran kiran ke lekin barson bojh uthaun