ye dur dur muradon ke retile tile sarak sarak ke jo daman badalte rahte hain ye murda unt jo sahra ke zard rangon mein kisi ne dasht-e-talab mein saja ke rakkhe hain ki jo bhi bhes badal kar idhar rawana ho palat hi jae wo le kar phati phati aankhen ye kis ki wadi hai ye unt kis ke hain ye kaun zard-nigarish ka itna shaeq hai ye kaun qais hai kis dasht ke sarab mein hai ye kis ka khwab hai kis husn ke azab mein hai junun mein dub ke dil ne pukara nam apna jhatak ke sar ko tamanna ne chikh dohrai khayal khwab ke daman mein chaunk chaunk utha ye mera nam tha dil ka ya meri laila ka meri tamanna thi dil ki ya meri laila ki ye chikh sar ki jhatak aur khwab kis ke the palat hi jao na le kar phati phati aankhen