sada-e-tur

shahr-e-viran ke makino
ye suno

tum faqat
naqsh-ba-diwar rahe

mujh ko dekho ki main
aaina bana

dekh raha hun kab se
bahte dariyaon ke sine pe

jo mallah hain kashti mein sawar
aag lene ko

kai bar gae the lekin
laut aae the liye koela aur rakh ka dher

tur se aai sada
aaj hairan hun ki jab

un ki wo kashti hui
girdab ke hathon mein asir

dubte dubte
ubhre hain wo qindil-ba-kaf

jis ke shoale ki zaban par hai likha
main ujalon ka naqib

mujh ko thame
jo badhoge

to suno
kal jahan

dhup mein lipti thi
shabon ki rangat

aur jahan
khwab mein

diwaren kiya karti thin
baaten khud se

wahin
gunjegi sada ki khushbu

qahqahe nur ke
bikhrenge wahin

aaj phir
tur se aati hai sada

shahr-e-viran ko
jo gulzar banana hai

to phir
dub jaane do unhen

apne kase mein liye
koela aur rakh ka dher

aur agar wo jo kinare se lage
kat kar

shoala-e-afzun ki zaban
phir se kar lenge

ujalon ko asir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close