wo badbu-dar zahrila dhuan hai jis se banti aur bigadti hain kai shaklen adhuri na-mukammal jo hum se kah rahi hain ye hamare hath the ye panw ye chehre magar ab hum dhuan hain ho sake to phir ise tum jism-o-jaan de do agar itna na ho pae to tum bhi chikh ban jao dhuan ban kar bikhar jao hamare sath mil jao