sadaon ka samundar

sadaon ka samundar
mere jism mein
ek sadaon ka samundar thahar gaya hai
ye meri aankh
kisi khwab ke paiham chatakhne ki
gunj de rahi hai
main apni kokh mein se
khamoshiyon ke humakne ki
aawaz sun rahi hun
aur phir!
meri ungli ki poron se
mere harf bahe ja rahe hain
mere khun ki rawaniyan
jism ki naliyon mein se
kisi bipharti hui mauj ki tarah
apne sahil ko pukarti hain
aur meri sans
mere aaza ke bich se yun ja rahi hai
jaise
viran jhadiyon ke darmiyan se
guzarti hui wo hawa ho
jo sukhe hue zard patton ke raaz bantti hai
aur main apne jism ki bosida diwar se kan lagae
har ek sada ko baghaur sun rahi hun
aur shayad inhi mein bah rahi hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close