wo ek sham qalam kho gaya tha jab mera bahut talash kiya har taraf idhar ki udhar magar qalam ka kahin par nishan na hath aaya meri talash meri kashmakash se ghabra kar meri wo chhoti si beti mere qarib aai ki jis ne likhna abhi bas abhi hi sikha hai mere hawale kiya apni ek pencil aur kaha ki aap ise apne waste rakhiye magar ajib sa jadu hai us ki pencil mein siwae sach ke jo kuchh aur likh nahin pati wo ek sham bahut chaha kuchh likhun lekin wo ek sham ajab thi main kuchh na likh paya