sawal bachche ne jo kiye the jawab un ka dabi zaban se wahi diya hai jo mujh ko ajdad se mila tha wahi purane sawal us ke zamin agar kham hai to us par hamare pukhta makan kyun hain? agar gulabon ko rang khurshid se mila hai to dhup ka husn kaun se phul ki ata hai? wahi purane sawal us ke wahi purana jawab mera wahi girah warid-e-chaman ki sada-e-parwaz par laga di hai jis ka halqa meri zaban par pada hua hai mujhe yaqin hai ki ye naya ham-safir mera meri tarah se zamin ke shishe ki shash-jihat se na aage parwaz kar sakega wo ek mithi sada ki naddi jo raat din ki jali zaminon se dur sarsabz jangalon mein rawan hai naghme koi sadhaya hua parinda na us ke sar-basta sahilon par utar sakega