ujli dhup hai farsh-e-giyah par ujli dhup mein farsh-e-giyah par raushan aur darakhshan lamhon ki shabnam hai sabz darakhton mein khandan chehron ki chandi hai sona hai un lamhon se un phulon se sabz darakhton ke patton se juz-danon ki jeben bhar lo kal jab suraj zist ki chhat par barf ki surat jam jaega kal jab raaten rakh ki surat bujh jaengi is indhan ke sukhe patte aatish-dan ke kaam aaenge