tum thithurti guzarti hoi sham ki mad-bhari raushni se churae hue chaar pal ki katha sun sako to suno sadiqin ek gali mein khada tha nasq-o-ta'liq ki uljhanon mein ghiri zindagi ek gali jis ke chaaron taraf hasraton ka khat-e-naskh fisa ghauris ke masalon mein uljha hua la-sai padh raha tha sadqini farasat riyazat ki manzil pe faez ibaadat ka ras pi rahi thi chand ki gardishen puri hone na pai thin us raat bhi jab use us ke fan ne khudawand se mahw-e-sukhan dekh kar ek bhar pur tazimi sajda kiya nuqrai raushni us ke mathe se phuti thi jis ne gali ko moattar kiya nasq-o-ta'liq ki uljhanon mein ghiri zindagi ek gali jis ke duji taraf ilm-o-irfan ke shakh imkan ke daere ban chuke hashiye lag chuke the magar wo ilahi-sifat paint ki botalen kaghazon par undele hue naqsh-gardi mein khoya raha use is se matlab hi kya tha ki kaun us ke khinche hue ek sulus hashiye tak pahunchne ki khatir mare ja raha hai magar raat ke ek pahar chand jab baadalon mein chhupa ahrman ne kaha mera ek naqsh bhi bikne wala nahin to ab aisa karo us ki har qaus par ism-e-azam likho aur phir salha-sal tak sadiqin ism-e-azam bana paint ki dibiyon par use phunka jata raha naqsh-gar ism-e-azam ka chhalla pahan kar usi nam ka wird karte rahe be-zaban canwas ki har ek qaus mein rang bharte rahe aql-o-wijdan ki ragni jis ko shab bansuri ne dinon ko sadaen lagate hue pairahan kar liya sadiqin us ke sur se nae rag ijad karta raha us ki panting mein rumi ke aflak aise zamin-bos the jaise cactus khud apne hi mahaul se lad-jhagad ret ki wadiyon mein bina barishon ke hara rang odhe rahe magar rafta rafta dinon ki masafat ne us ko magan kar diya wo rangon bhare kar-khane mein khali nigahon se bas canwas ko hi takta raha ab jahan kuchh na tha na takhliq ki te na tartib ki be na rangon ka re na kari-gari ki wo ye bas talatum khayalon ki khe zulf-e-ishkal shanon pa bikhri hui johd-e-mismar chadar mein lipti hoi be-sabaati faramoshiyon ki khabar nastaliqi lakiron mein uljhi hui zindagi sadiqini safar