jab masjidon aur imam-bargahon mein naqab lagai jati thi to kai be-rang daere sawaliya nishan liye hamare raste mein aa khade hote ki kalisaon aur mandiron ka nizam kaun se khuda ke pas hai jo amn ki fakhtaon ko ibaadat-gah ke raushan-danon mein bhej deta hai isi sawal mein jawabi rang bharne ke liye hum ne lahhu ko barud mein ghol kar insaniyat ka bharam ganwa liya ab kisi bhi nam ka jangal pukare maut par phaila ke nachti hai aur hum duaiya hathon mein qabr khodne ke liye zamin dhundte hue apne jismon mein dafn khairaati sanson pe palti zindagi ke gaz napte hain hum siyah labon se nikli hui bad-duaon ka waqt-e-qubuliyat hain isi liye to nishana-baz maut hamein ibaadat-gahon mein bhi dhundh leti hai hum mutthi bhar log tumhaare tukdon pe palne aa gae to tumhaari taffun ugalti galiyon ne rozgar pe laga diya rizq to kuda-karkat ke dher se bhi mil jata hai magar wo udhde hue adh-jale jism kahan talash karen jo khuda se muzakaraat karne gae the aur tukdon ki surat kalisaon ki saffak diwaron pe chaspan kar diye gae aur hum jahannam-rasida log al-widai sham ki khak phankne aae hain ki suna tha shahar mein phir se bikhre hue chehron ki numaish hai