sarpat bhagte aadamiyon ke sae kat kar rail ke dibbon ki qabron mein girte jaen hanpte pahiye samton ke gunge sagar mein shor machaen aankhon mein aansu lahraen honton par bose kumhlaen ruh ulajhti jae soch raha hun apne dhyan ka parda khinch ke sab chehron ke chand bujha dun sab samton aur sab raston ko chakma dun aur kahin na jaun