kuchh log jo mere dil ko achchhe lagte the umron ke rele mein aae aur ja bhi chuke kuchh dhandon mein masruf hue kuchh chuha-daud mein jite gae kuchh haar gae kuchh qatl hue kuchh badhti bhid mein apne-ap se dur hue kuchh tut gae kuchh dub gae mujh par ye khauf ab chhaya hai main kis se milne jaunga main kis ko pas bulaunga aandhi hai, garm hawa hai, aag barasti hai kuchh der hui ek surat, shabnam si surat is tapti rah se guzri thi do bachche ped ke patton mein chhup kar baithe the hanste shor machate the ek dost purana barson baad mila mujh ko us jalte din ki subh kuchh aisi raushan thi jab baad-e-saba warafta-rau khushbuon, naghmon, nannhi-munni baaton ka andaz liye aangan mein chali main zinda hun ye soch ke khush ho jata hun wo thodi der to mere pas se guzri thi wo mere dil mein utri thi is be-mahram se mausam mein shayad wo kal bhi aaegi shayad wo kal bhi meri rah se guzregi